Monday, December 31, 2018

Social-media ki galiyon mein

Social-media ki galiyon mein nye saal ki taaiyaari hai
Na Khat-o-lifafe, Na piknik-o-patakhe ab sticker ki baari hai
Koi Mithaiii nhi, koi tohfa nhi, Na doston ka dawat
"Happy new year" ka link bheja unki bhi kuchh lachaari hai
Social-media ki galiyon mein nye saal ki taaiyaari hai

Sunday, December 30, 2018

Wednesday, October 31, 2018

kitaab ko padhte hain

Mobile-o-laptop pe aap bhi hum bhi nile kitaab ko padhte hain
Haal-e-Hayat likha hoga, ye soch apne ahbaab ko padhte hain
Aaj ki Tasweer, Kal ki yaaden aur parso.N ki chaal wale panne
Rat ko kuchh puchha tha ab subah uske jawaab ko padhte hain

Urdu Word meanings:
ahbaab=friends
Haal-e-Hayat=status

Nila kitaab=Facebook

Saturday, September 8, 2018

Tas ke patte


Tas ke patton ki bhi ajeebb baat thii
Jab bhi bikharti thi doston ko jod deti hai

Saturday, July 28, 2018

shamosho.N wali shaam


Ye badal ye Barish koi kaam nhi aati 
Yaaron ab shamosho.N wali shaam nhi aati
Zindgi ki jalebidaar raston se jalebi nikal gyii
kamsiin kachauri bhi ab sar-e-aam nhi aati
mithi chuskiyon ka sahara hai 
Ab chai ke piyale ko aaraam nhi aati
Raste par doston ki toli ke sath khaye bin
Mano itwaar ko jaise sahi anjaam nhi aati
Ye badal ye Barish koi kaam nhi aati 
Yaaron ab shamosho.N wali shaam nhi aati
Fir bhi kyon aur kis baat ki fiqr karen "SAN"
dariya-e-zindgi mein ta-umr tamaam nhi aati

Saturday, July 21, 2018

shajar-E-sanobar


Khelne khudne se kuchh aisi berukhii hai ab yaaron ki 

Ye shajar-E-sanobar apni hii zindgii ke saaye lagte hain

Sunday, June 24, 2018

jild wale kitaab hote hain kya

Khad ki bori aur 2 ziste ki coppy liye
Balon mein sarso ka tel piye
Kisi purani bhadi makaan ke niche
Guruji puchhen to kadhe hokar 
aaj bhi sawaal jawaab hote hain kya?
Ab bhi jild wale kitaab hote hain kya?
APPS pe uatari ye JIO ZINDGI
Aur Rangin hoti padhai ki duniya
Aaj bhi Panno pe ghaab hote hain Kya?
Ab bhi jild wale kitaab hote hain kya?


jild=cover(used for book binding)

Sunday, June 10, 2018

KHAO AUR KHILAO

kabhi khao kabhi khilao kabhi pio kabhi pilao
umiid-o-biim ke tale kabhi sath nazar ao
Alag alag manzilen hain yaaron ki 
Ao Kabhi samjhao Ao kabhi thoda jalao

Saturday, May 19, 2018

mehvar nhi dikhta


Apni hii khavahishon ka ab koi mehvar nhi dikhta hai
Bahut duur chale aye "SAN" ab Apna ghar nhi dikhta hai

Urdu word meaning:

Mehvar=centre