Sunday, March 30, 2014

quu-ba-quu

Didaar ki chaah,main gujarta quu-ba-quu
Kabhi to ao nazar ,nazaron ke ruu-ba-ruu
"SAN" to ishk aur Pyar mein kayi baar pda
Par hai mera muhbabbt bas ek tu,bas ek tu

Friday, March 28, 2014

Dhadakno Ki Azaa.N

sath hosh-o-havaas-o-taab-o-tavaa.N
lekar chale apna dil fir kuu-e-butaa.N
rah -e -ishk mushkilon se rasta wasta
lekar chale mauj dil ke daramiyaa.N
rasta ye kaisa pech-o-Kham,bas chahat
biyaabaa.N si zindgi bne Khiyaabaa.N
kb mulaqat kb kismat se bat hogi ?
bta mujhe aiyee mere umr-e-ravaa.N
"SAN" ke dhadkno ki sun le azaa.N

Word Meaning :
1. hosh-o-havaas-o-taab-o-tavaa.N : sense, sensibility, strength, health
2. kuu-e-butaa.N : beloved’s street
3. mauj : wave
4. pech-o-Kham : trun and twist
5. biyaabaa.N : desert
6. Khiyaabaa.N : Garden
7. umr-e-ravaa.N : fleeting life
8. azaa.N : prayer

Shabdon mein Jadne lge


log milkar pyar karte hain
par alag hokar hum unhe chahne lge
wo kuchh kora panna chhor gyi thi
unme hum rang bharne lge
unki tarifon ka kabhi jabab nhi deta tha
aaj unhi baton ko yaad karne lge
jinka hme koi parwah n tha
aaj unhi ke yadon ko sabdon mein jadne lge
hame jinka  fiqr n tha
unhi ke diye  mohbt ko ab madhne lge
kabhi wo pass gunjati thi
aaj unhi ke liye sapna gadhne lge 

Pyaar aa Hi jata hai


mashuqa kitni bhi gushail ho
thoda pyar aa hi jata hai
ushi prkar jis tarah badal chahe kitna bhi ghanna ho
suraj din le hi ata hai

kitni bhi kosis kar lo
pyar ki bat  dil se nikal hi jata hai
mahbuba kitni bhi ruthi ho
lekin ye ada bhi mann pe ashar kar hi jata hai

kitni bhi kadi dhoop ho
unki ek jhalak mohbt ka mausham le hi ata hai
kitni bhi wo udas ho
ush shant chehre par bhi pyar aa hi jata hai 

Pasandida banda


pyar ke liye nhi balki pyar ke karan zinda hoon
kisi aur bat se nhi
lekin ab tak jinke liye pyar laya  unhe n de paya 
ish bat se sharminda hoon
khuda pe jiska vishwas hai
wo main banda chuninda hoon
kisi dikhawati bandhan mein main rahne wala nhi
balki main pyar rupi gagan mein udane wala ek parinda hoon
mera koi rasta kya rokega
main to khuda ka pasandida banda hoon 

Thursday, March 27, 2014

Utara

ishk ne husn ke dekhkar zindgi ko pukaraa
hamne dil ko muhabbt ki maidan mein utara
Hazaar bar "SAN" gya tha Jeet
Teri tikhi nazar aaj main tujhpe haraa

Husn pe arz

ao tere yovan ko shayari ka hissa bna dunn.
Kuchh arz karun aur ek hasin kissa bna dunn

Wednesday, March 26, 2014

Nau_gul Nazar ayi

Suhani subah nau_gul nazar ayi
sundar badan aur khusboo se nahayi
dekhte hi mere zubaa.n se nikla "wah"

Shayad yahin "wah" thi uski muh dikhayi

Tuesday, March 25, 2014

Monday, March 24, 2014

Rat Ko Pichha

Din mein zindgi ki bhagdaud rat ko tera pichha karte hain
jab sapno ki khatir palken ankhon pe bichha karte hain

Saturday, March 22, 2014

Payaam aya



Unki jhuki nazaren unke dhadkno ka payaam aya
zubaan pe sharm ke taale aaj ek dil to kaam aya
Meri rangin nazaron ne kai bar sajda kiya tha
Unki palken jhuki.N aur unka aaj salaam aya

Tarasha Hira

Addaon se chamak rha,Khuda ka wo tarasha hira
Kai ko ashiq bna gya jannat se jb wo phool gira

Mei Band Bje to Dulhan Ban jana

zuban se kuchh nhi
bas apni ankhon se sab kuchh batana
mera naam sanjeet hai
ek baar  pyar se humko hra jana
sapno se sanson tak hai tera ana jana
jab meri band bje to tu meri dulhan ban jana

ye bat bhi mana
ki modern hai jamana
lekin koi tarashi flat nhi
mere dil ko hi apna ghar banana
meri kammi mahshus ho to
meri bebkoofiyon ko yad karke hash jana 

Mehbuba Wo hai

mahbuba wo hai jo band ankhon se dikh jaye
tum ushe edhar udhar yahan wahan dhoondho
aur wo tere dil ki rangin galiyon mein mil jaye

mahbuba wo hai jo band ankhon se dikh jaye
tum ejajat do ya na do
fir bhi wo tere man mandir mein zabardasti tik jaye

mahbuba wo hai ,jo band ankhon se dikh jaye
tum ushe bolne bhi na kaho
aur wo apni bat tere dil ke deewaron pe likh jaye 

Thursday, March 20, 2014

Sahaj Pyaar

Koi Rista nhi mahaj pyaar tha
tum thi to kitna sahaj pyar tha

Monday, March 17, 2014

Sichana

Ashuon se apne chehre ko sichana
jb hoga pyar tere - mere bich na

Saturday, March 15, 2014

Kuchh Aisa Hota Hoga



maine kabhi sharab to nhi pi

lekin tere ankhon ko dekhkar jo nasha mahshus karta hoon
shayad kuchh aisa hi ushka asar hota hoga

phool ko kabhi khilte huye nhi dekha
lekin tujhe hashte dekhkar lagta hai
ki kuchh aisa hi hota hoga

kisi pari se nhi mila
par tujhse milkar lagta hai
Unka andaaz bhi kuchh aisi hoti hoga 

Khuda Ka khel

khuda ka khel

ye tera mera mel
bahut dua mangti thi na
lo ab mujhe jhel
mujhe uparwale se mangkar pachtayegi tu
jab bolunga "lgao mere pairon mein sarso ka tel"

Khabawon ke Khajane se


laya ashaon ka jalta deep
khawon ke khajane se
apko hasaya
apne baton ke bahane se
aaphi ko chaha
par hamesha chhupaya jamane se
apko aur kya chahiye 
apne esh deewane se 

Sunday, March 9, 2014

Daulat-e-lab


Teri daulat-e-lab hasiin
Teri daulat-e-lab shiirii.n
Kya main loot loo.N
Teri daulat-e-lab Rangii.N

Saturday, March 8, 2014

Kamino Ki Kami


uparwale ne mere doston ko mujhse dur kar diya
ye bat hame nhi jammi
aur ab sta rhi hai
kamino ki kammi
chehra par to udasi ka bhav nhi hai
par ankhon mein to hai nammi 

Kali Aur Ratraani

agar bhawra andhere mein dekh sakta,to kaliyan rat ko khilti
aur ratrani ko bhaware se pyar hota ,to wo subah mein murjhayi n milati 

Josh + Hosh


sath mein josh
pass mein josh hai
kyonki mere sath mera dost hai

thoda khudse rosh
thoda sa afsos hai
fir bhi hosh jivan mein josh hai
kyonki mere pass mera dost hai

koi mere pass
to kisi se duri hazar kosh hai
fir bhi unhi logon ke karan josh+hosh hai 

Hanth Pe Hina


sikha hain hamne 
apko jan banake ,apni zindgi jina
haste huye dard ko pina

uparwale ne hamari mohbt ko nhi chhina
tabhi to hamara entjar kar rha hai 
ye sawan ka mahina

hamesh tum khash rahogi
chahe jiunn tere sath
ya marna ho tere bina
agar vishwas ho to entjar karna
apne hanthon par lgakar mere naam ka hina 

Erd - gird

ghumati burayi achhayi ke erd-gird
pta nhi kb man ban jaye burayi ki sagird

Tilshmi Husn



Teri aisi tilashmi husn ki rat mein band ankhon se dikh jati hai
Khabaabon ka wo pyara pahar mein jab tu apni ishk likh jati hai 

Friday, March 7, 2014

Line marte Rhe

Wo sharmati rhi ,hum niharte rhe
wo jeetati rhi hum uspe dil harte rhe
ek war wo samajh jaye ish kosis mein
Hum dinbhar line marte rhe

Thursday, March 6, 2014

Wednesday, March 5, 2014

Darwaja band na kiya

Chaah ki chaah se bhari zindgi lekin kisi ko pasand na kiya
chaah to chaah hoti hai dil ka darwaaja kabhi band na kiya

Monday, March 3, 2014