Ankhon pe ra.ng-e-rukHsaar ka asar hai
Dhadkta dil kah rha hai pyar ka asar hai
Badhta ja rha hai har sher ek Ghazal ki aor
Ye shayari nhi diidaar-e-yaar ka asar hai
Kala - kala ho rha hai Kagaj tere ziqr se
Kuchh to tere pur-asaraar ka asar hai
Jehan bheeg rhaa hai tere khayaalon se
Husn-o-badan ke nua_bahaar ka asar hai
Likhta jaa rha hai "SAN" lahron kii tarah
ye kaisa behad dilkash ish baar ka asar hai
URDU WORD MEANING :
pur-asaraar=pleasing
ra.ng-e-rukHsaar = color of cheeks
No comments:
Post a Comment