Huyi azaad dotte se ankhon ne zulphon ka bikhraab dekha
Gore Gore badan pe kale kale badalon ka ek failaab dekha,
Gore Gore badan pe kale kale badalon ka ek failaab dekha,
Merii har chor nazar uske chehre tak gyi dheere - dheere,
saraa_paa thii khubsurat roshni gardan pe chhaab dekha,
Jb nahakar nikali chipka hua tha kuchh uske sare balon se,
Thahra hua bikhre moti sa wahan aaj Giraftaar aab dekha,
dhadkane wah wah kah gyi wo lachkte balon ka murid hua,
ankhon mein nachti rhi nazaron ne ye jhalak lazbaab dekha,
Main bahut bar sochta tha akhir uparwala kya kya karta hai,
"SAN" tune naaz-e-jalvaa ush fankaar ka jawaab dekha
saraa_paa = from head to feet
aab = water
dotta = braid
No comments:
Post a Comment