Chehre se zulf hatii nazar ke samne yaar ayaa
sadaf se bahar jaise gauhar-e-shaahvaar ayaa
Un surmai ankhon se hazar sawaal hamne kiye
Unki jab Jhuki chasm, naama-e-dildaar ayaa
kisi bat se thi wo khush, kisi bat pe jb muskai
Shurkh honthon pe haule se purbahaar ayaa
Unke bina zindgi labz aur alfazon ki zindgi thi
Wo ayi samne to mujh tak fasal-e-bahaar ayaa
"SAN" ki bahon mein ayi, labon se bat huyii
shukhanwar hoon unke liye fir ashaaar ayaa
sadaf=a shell
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
naama-e-dildaar = love letter
jamaal= beauty
chasm= eye
purbahaar=in full bloom
fasal=season
ashaaar=couplets
No comments:
Post a Comment