Friday, February 27, 2015
Thursday, February 26, 2015
Dil Ne Badla Thikaana
karke hamse bahana
dil ne badal liya apna thikaana
maine puchha akhir kyon?
to wo bola tu ho gya hai deewana
Saturday, February 21, 2015
doshiizaa.e.n
rang, ruup aur muskaan Allaa btaa aur kitni adayen hain
Har labz kaano ko chum leti hai eitni mithi sadaa.e.n hain
Chal jaise nasiim-e-sahrii, mizaz jaise jhumta laal kanwal
Har taraf wo hi wo dharti pe ayi kitni doshiizaa.e.n hain
WORD MEANING :
sadaa.e.n=voices
nasiim-e-sahrii= morning breeze
doshiizaa.e.n= girl
Wednesday, February 18, 2015
Saturday, February 14, 2015
Friday, February 13, 2015
Wednesday, February 11, 2015
Sunday, February 8, 2015
zindgi se jakar
zindgi se jakar bhi
mere yadon se na nikal paogi
bharosa hai ki jab bhi mujhe teri yad satayegi
tu mere sapno mein aa jaogi
WO AYE KABHI KABHI
main chahta hoon ki wo aye kabhi kabhi
main chahta hoon kuchh wo kah jaye kabhi kabhi
ushke liye dil mein dher sara pyar pda hai
meri dhadkano ko wo loot jaye kabhi kabhi
band ankhon se to unka hi didaar karta hoon
kash chehra bhi en ankhon ko wo dikhaye kabhi kabhi
pyar karne wale apni parwaah nhi karte hain
chahta hoon hame bhi wo aajmaye kabhi kabhi
hash hashkar muh thak gya hai khushi mein hi sahi
main chahta hoon wo hame rulaye kabhi kabhi
SAN ke ankhon mein base pani ka kuchh to matlb hai
mere ankhon se anshu wo bahaye kabhi kabhi.
Saturday, February 7, 2015
gauhar-e-shaahvaar
Chehre se zulf hatii nazar ke samne yaar ayaa
sadaf se bahar jaise gauhar-e-shaahvaar ayaa
Un surmai ankhon se hazar sawaal hamne kiye
Unki jab Jhuki chasm, naama-e-dildaar ayaa
kisi bat se thi wo khush, kisi bat pe jb muskai
Shurkh honthon pe haule se purbahaar ayaa
Unke bina zindgi labz aur alfazon ki zindgi thi
Wo ayi samne to mujh tak fasal-e-bahaar ayaa
"SAN" ki bahon mein ayi, labon se bat huyii
shukhanwar hoon unke liye fir ashaaar ayaa
sadaf=a shell
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
naama-e-dildaar = love letter
jamaal= beauty
chasm= eye
purbahaar=in full bloom
fasal=season
ashaaar=couplets
Friday, February 6, 2015
UMID RAKHTE HAIN
aaj bhi tumhe hamm pane ki umid rakhte hain
aaj bhi dil se dil milane ki umid rakhte hain
zindgi manzil ki khoj mein bhatak rhi hai par
par tere sath ghar basane ki umid rakhte hain
janta hoon ki tum hamse bahut dur rahti hai
par tujh takk pyar failane ki umid rakhte hain
manaa ki duniya mera rasta roke khadi hai
par tumhe dil takk lane ki umid rakhte hain
ye bhi ho sakta hai ab tu mujhe bhul gyi hogi
par ham fir se pyar jgane ki umid rakhte hain
ho sakta hai udasi teri saheli ban gyi hogi
lekin ham gam ko hrane ki umid rakhte hain
janat hoon ki pyar nafrat ke kabje mein hai
par tujhe mehbuba banane ki umid rakhte hain
etne saalon tak tu "SAN" ki hamsafar nhi ban payi
par tere sath sat fere lgane ki umid rakhte hain
Image source Link
Wednesday, February 4, 2015
Monday, February 2, 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)