Saturday, January 31, 2015
Friday, January 30, 2015
Wednesday, January 28, 2015
Tuesday, January 27, 2015
Monday, January 26, 2015
Sunday, January 25, 2015
Asmani pari
shab-e-mehtaab dekha use jate huye,
udanpari badlon ko thoda takrate huye,
madhim madhim roshni ke bich rasta
dekha use apna chehra dikhate huye
uske ane se niche jab andhera faila
dekha use bijali ke diye jalate huye
chasm ne jab falak ka rukh kiya dekha
halki hawaon ke sath use jate huye
Asmani pari hai ye badalon ki katar
"SAN" dekh use barish ka pani late huye
udanpari badlon ko thoda takrate huye,
madhim madhim roshni ke bich rasta
dekha use apna chehra dikhate huye
uske ane se niche jab andhera faila
dekha use bijali ke diye jalate huye
chasm ne jab falak ka rukh kiya dekha
halki hawaon ke sath use jate huye
Asmani pari hai ye badalon ki katar
"SAN" dekh use barish ka pani late huye
Friday, January 23, 2015
Chasm se Tapaknaa seekh
Pyaar ki raah me chalna seekh,
Ishq ki aag me jalnaa seekh,
ahad-e-ashiqi ka kya karega?
wo badal gya tu bhi badlana seekh,
wisaal-e-yaar ki ab tamanaa na kar,
Ishk rakh aur sambhalna seekh,
pyaar tu bas dhadano tak ayaa
Bin uske chasm se Tapaknaa seekh,
Labz-0-harf "SAN" ka unhe rok na paya
Ai dil mere ab to tu chikhnaa seekh
Urdu Word Meaning:
ahad = promise
wisaal-e-yaar = meeting with lover
Monday, January 19, 2015
SAAL BADAL GYA
tere pyar se dil ka chaal badal gya
tere karan dil ka haal badal gya
apke baton ka mujhpe jadu chal gya
aur khushiyon ka thaal badal gya
aapki salinta ham par asar kar gyi
aur mere sanson ka taal badal gya
enhi pyari pyari chijon ke bich tha
aur pta na chala kab wo kaal badal gya
"SAN" to tere yadon mein wahin ruka hai
par tujhe yad karte karte ye saal badal gya
Saturday, January 17, 2015
Friday, January 16, 2015
Wednesday, January 14, 2015
Monday, January 12, 2015
Palkon Ka Deewar
palkon ki deewar hatakar ham apka deedar karte hain
aap apni zulphon ka ghunghat htakar hame bimaar karte hain
Sunday, January 11, 2015
Saturday, January 10, 2015
Friday, January 9, 2015
Thursday, January 8, 2015
Ankhon ne dho diya
Ishk likha tha Nazaron ne uska chehra padhkar
aaj ushi muhabbat ko dono ankhon ne dho diya
Ashiqi,arzoo ya tasvuur kuchh na bacha ab
jo tha nhi kabhi mera use aaj maine kho diya
aaj ushi muhabbat ko dono ankhon ne dho diya
Ashiqi,arzoo ya tasvuur kuchh na bacha ab
jo tha nhi kabhi mera use aaj maine kho diya
Tuesday, January 6, 2015
Maf Karna Jante Hain
agar khuda insaf karna janta hai
to ham bhi maf karna jante hain
koi halaat mere mann ko maila kar sakta hai
par ham bhi dil ko saf karna jante hain
to ham bhi maf karna jante hain
koi halaat mere mann ko maila kar sakta hai
par ham bhi dil ko saf karna jante hain
Locha Ho Gya
tumhare khatir
dil aur dimag ke bich ho gya locha
dil ne kaha main unse pyar karta hoon
dimag ne kaha "tumne aisi lagti karne ke bare mein kyon socha"
Saturday, January 3, 2015
ZULF-E-DOTAA
Wo Reshmi kali siyaah si zulf-e-dotaa
Kash kabhi mere chehre pe khula hota
Hota main ankhon ke mai gum_gashtaa
Hota main bhi unki agosh mein shaguftaa
Wo Reshmi kali siyaah si zulf-e-dotaa
Kash kabhi mere chehre pe khula hota
Ankhen ko dilataa kuchh chashm-e-ataa
Ankhen kar rhi hoti zikr-e-husn-e-yaktaa
Wo Reshmi kali siyaah si zulf-e-dotaa
Kash kabhi mere chehre pe khula hota
URDU WORD MEANING :
zulf-e-dotaa=braided hair
gum_gashtaa=lost
shaguftaa (shiguftaa) = cheerful/happy
ataa=gift
chashm-e-ataa=rewarding eye
yaktaa=single
zikr-e-husn-e-yaktaa =description of unique beauty
Laila Majnu Ka Jamana
chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko hoga fir sabko samjhana
ki haan aaj bhi zinda hai deewana
chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko fir hoga dikhana
ki akhir kya hota hai dil lagaana
chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko hoga aage aana
taki sab samajh jayen ki nhi gya wo jamana,
nhi gya wo jamana.............
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko hoga fir sabko samjhana
ki haan aaj bhi zinda hai deewana
chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko fir hoga dikhana
ki akhir kya hota hai dil lagaana
chala gya laila majnu ka jamana
nhi chalega ye bahana
ashiqon ko hoga aage aana
taki sab samajh jayen ki nhi gya wo jamana,
nhi gya wo jamana.............
Friday, January 2, 2015
Love Lagat
malum nhi ki pyar karne mein kitni lagat ayegi
kuchh bhi ho lekin ye ishk ki aadat na jayegi
kuchh bhi ho lekin ye ishk ki aadat na jayegi
Thursday, January 1, 2015
mai-e-gulfaam
Nye saal ka Jasn Hamne mai-e-gulfaam dekha,
saqi la rha tha,sabke hanthon mein Jaam dekha
URDU WORD MEANING:
mai-e-gulfaam=flower colored wine
saqi la rha tha,sabke hanthon mein Jaam dekha
URDU WORD MEANING:
mai-e-gulfaam=flower colored wine
Subscribe to:
Posts (Atom)