Friday, December 27, 2019

2019-2020

Suna tha Kuchh jayada antar nhi hota fir bhi 
Ai zindgi chal Unees bees ka farq malum karte hain

Unees Bees 2019-2020

Saal ki rat hai, hosh mein hii sahi aaj thoda dol lena yaaron
Unees Bees ho jaye to ''Happy New year" Bol dena yaaron

Saturday, June 8, 2019

India-vs-Aus-shayari

Galli ke Guys Gilli udayenge
Nilliwale ishbaar pilli udayenge
Pak tujhse match nhi khelenge!
Hum to teri abki baar khilli udayenge 

Sunday, April 14, 2019

Arhar ke Daalon Mein

Kuchh badla hai kuchh nhi badla hai enn bitte saalon mein
Aaj bhi gawn ki aab-o-hawa basati hai arhar ke daalon mein
Shahar ke vashindon sajne-sawarne ka dhang mat batao
Dekho paudhon ne laga rakhe hain phool apne baalon mein
Aaj bhi gawn ki aab-o-hawa basati hai arhar ke daalon mein
Sarkaar ne kabhi kimat nhi dii abtak fir bhi beskimati hai ye
Ao kabhi, dekho kabhi Fasal ki kahani din ke ujaalon mein

Monday, December 31, 2018

Social-media ki galiyon mein

Social-media ki galiyon mein nye saal ki taaiyaari hai
Na Khat-o-lifafe, Na piknik-o-patakhe ab sticker ki baari hai
Koi Mithaiii nhi, koi tohfa nhi, Na doston ka dawat
"Happy new year" ka link bheja unki bhi kuchh lachaari hai
Social-media ki galiyon mein nye saal ki taaiyaari hai

Sunday, December 30, 2018

Nya saal mubaraq

Umidon ka nya dalaal mubaraq 
Haan tujhe nya saal mubaraq

Wednesday, October 31, 2018

kitaab ko padhte hain

Mobile-o-laptop pe aap bhi hum bhi nile kitaab ko padhte hain
Haal-e-Hayat likha hoga, ye soch apne ahbaab ko padhte hain
Aaj ki Tasweer, Kal ki yaaden aur parso.N ki chaal wale panne
Rat ko kuchh puchha tha ab subah uske jawaab ko padhte hain

Urdu Word meanings:
ahbaab=friends
Haal-e-Hayat=status

Nila kitaab=Facebook