Tuesday, December 30, 2014

dil ne khataa khola



dil ne pyar ka khataa khola ha
jabse aapne hampe apni mushkaan ka chhataa khola hai 

Monday, December 29, 2014

mukhtasar charcha suni hai

dil ne dhadkano se apki aksar charcha suni hai
Kabhi thoda kabhi sar basar charcha suni hai 
Deewana dil aapko khwabon tak bulaa layaa
Isne Kuchh aisi aur ish kadar charcha suni hai
Chasm khuugar aapki ada ka Har nazar Gulaam
Kiya diidar tab tab dil-e-dar charcha suni hai
Aapko Dekhne mein masaruuf dono ankhen 
Inki bebaaki mein aapki yak sar charcha suni hai 
Vafa ke ehataraam se bhar jati "SAN" ki tahariir 
Par Abhi bhi aapki mukhtasar charcha suni hai 

URDU WORD MEANING :

sar basar=wholly/entirely
dar = door
Khuugar=used to
yak sar  = all at once
ehataraam = respect
masaruuf=busy in/involved with
tahariir = writings
mukhtasar= brief

Sunday, December 28, 2014

MAHTAABI MUSKAAN

Haule - Haule dhadkno mein uth rhaa ye kaisa aazaan tha
Tabiyat hari ho rhi thi samne unka mahtaabi muskaan tha

URDU WORD MEANING :
aazaan = prayer 
mahtaab = moon

Ibn-e-falak

Urdu Word Meaning :
ibn-e-falak = son of sky

Saturday, December 27, 2014

Pur_kaif Dil

Rat bhar dil kuchh gata rha
Rat bhar dil sab sunata rha
Pur_kaif wo kya jane ISHK
Rat bhar dil ratta lagata rha

URDU WORD MEANING :
pur_kaif=ecstatic

Friday, December 26, 2014

DIL KI KHUJALI

Ek bar I love you kah mita de dil ki khujali
labon ko labon tak laa ghata de dil ki khujali

KARAM KARTE HAIN

hampe aap ye kya bachkani sitam karte hain
ye kahkar ki ham aap se pyar kam karte hain
ye kyon nhi samajhti aap  ki agar aap sharmili hain
to ham bhi kabhi-kabhi thoda sharam karte hain
mujhpe bharosa na ho to puchh lena hawaon se ki
ye bta aajkal kya-kya kaam mere pritam karte hain
aur wo hawayen kahegi ki kuchh nhi aata unko
par bade pyar se wo pyar ka ye karam karte hain
tumne yaqinan socha hoga ki etne khush rahte hain
fir un ashuon ko wo kahan khatam karte hain
to tumhe bta den ki jab nafrat ki dhool ankhon mein ati hai
to ushe apne enhi namkin ashuon se use naram karte hain
lekin ye mat soch lena ki "SAN" hatash rahta hoga
kyonki na kal ham udaas the na aaj gam karte hain