Wednesday, March 18, 2020
Har Din Tawe pe roj Chaand
Har Din Tawe pe roj Chaand utaar lana Tera
PETWALA banane ki wo kosis kar jana Tera
I LOVE YOU Ke Zamane ki Esh Zindgi mein
Pasand hai "A Ji O JI " se kaam chalana tera
8 March ki Tarikh ne Halke se yaad dilayaa
aaj hii ke Din hua tha Mere ghar aana Tera
Maine socha nhi tha Etni jaldi etna ho jayega
Achha laga Chicken, Fish khana sikh Jana Tera
Shayar "SAN" bus aaj Etna sa kahe
Abhi bahut bacha hai Zaman Mera Zamana Tera
Friday, December 27, 2019
Saturday, June 8, 2019
Sunday, April 14, 2019
Arhar ke Daalon Mein
Kuchh badla hai kuchh nhi badla hai enn bitte saalon mein
Aaj bhi gawn ki aab-o-hawa basati hai arhar ke daalon mein
Shahar ke vashindon sajne-sawarne ka dhang mat batao
Dekho paudhon ne laga rakhe hain phool apne baalon mein
Aaj bhi gawn ki aab-o-hawa basati hai arhar ke daalon mein
Sarkaar ne kabhi kimat nhi dii abtak fir bhi beskimati hai ye
Ao kabhi, dekho kabhi Fasal ki kahani din ke ujaalon mein

Monday, December 31, 2018
Subscribe to:
Posts (Atom)