Chashm-e-Makhmuur ke ghayal Ijaaz dhundhte hain Tujhe dekh tere Ashiq apni hii awaaz dhundhte hain nigaah-daarii ka ek asar dikhataa hai dildaarii pe Jab Asaan Lakth-e-labz bhi Lab-e-Ejaaz dhundhte hain Bhanware.N hain bahut sare Mast Baad-e-Bahaar ke pankhudiyon se takrane ke pehle andaaz dhundte hain muqaddar-e-muhabbat tujhpe aazmane se thoda pehle KISSmetwale purane dil mein nayii daraaz dhundte hain Bolenge.N bhi to kya bolenge Tin Harf se Jayadaa "SAN" wo Vafawale jo har taraf thoda alfaaz dhundte hain
Urdu Word Meaning: Lakth-e-labz=piece of word daraaz=drawer lab-e-ejaaz=revelatory lips chashm-e-maKHmuur=intoxicated eye nigah-daarii=eye to eye contacts muqaddar=fate Baad-e-Bahaar=spring wind Harf=word
Ek din mein to nahi kuchh khaas badalega Bas waqt apna purana sa libaas badalega Bana rakha tha haseen thikanaa 2016 ko Baraho.N mahiino ka ab awaas badalega Behatar aayega anewala waqt pta nahii kam se kam kaiyon ka ehsaas badalega December jayega pehli January aayegii Raat ko Saal Chaand ke paas badalega "SAN" har koi 2017 ka darwaza kholega Naa_Kaam hua tha wo Naa_aas badalega
Urdu word Meaning: Libaas=Clothing Naa_aas=disappointed