Saturday, June 25, 2016

GAFIL

Lage husn ki dua main gafil ho jaun
Use dil doo.N ya uska dil ho Jaun

Urdu word Meaning:
Gafil=careless


Monday, June 20, 2016

pardaadaaree


Badalon ki pardaadaaree hai
Chaand hai chandani uski saree hai
Eid ke din nikali hai 
Eid ke din wo bahut pyaree hai

Saturday, June 18, 2016

RISTEDAAR

Achchhe waqt ke hissedaar wo the
Dost naam tha ristedaar wo the
Meri Facebook ki diwaro.N pe dikhnewale
Hamare Chaar saal ke yaar wo the
College ki kahani ke sare panno pe
Beshkimti aur beshumaar wo the
Maar - pit mein kaam nhi aaye kabhi
Par jarurat padne par hathiyaar wo the
Ladakan bhi tha, pagalpan bhi tha
Par dimaag se hoshiyaar wo the
Mushqilaat se pehle mushqilaat ke bad
"SAN" har waqt har baar wo the

pahluu-nashii.n


Teri muskurahat mujhe teri jawaani lagati hai
pahluu-nashii.n tuu meri puri kahani lagati hai

Urdu Word Meaning:
pahluu-nashii.n=sitting by side

Tuesday, June 14, 2016

raffu gam

Mehfil-e-dost mein raffu gam kar le
Ye chehre se udassi thoda kam kar le