Saturday, April 2, 2016

AZHAR

hazaro.N Log tumhe kyon na bhula de.N
Khudko bechte waqt tumhe kisi ki yaad bhi to nhi ayii

Friday, April 1, 2016

rangiin ranjha


Main dil tu ispe dhadakno ka pehra
Main koraa aina tu khubsurat chehra
Dono samne ho to ek tasweer banatii hai
Main rangiin ranjha tu heer banatii hai

Thursday, March 31, 2016

Kalam ki kamar pakad

Kalam ki kamar pakad kagaj pe nachate the
Kab rukana hai kab mudna hai use batate the
Apni ujadi banzar zamin sii lekhni ke khatir 
Use baar-baar kai baar kai jagah daudate the

Wednesday, March 30, 2016

Chale jayenge


zindgi hai zindgi aur kahan le layegi
chale jayenge wo jahan le jayegi

Monday, March 28, 2016

AAJ BHI ASHIQ

Jo ishk mein pade the wo ashiq hi rah gye
baki duniyaa.N bahut aage nikal gyii