Saturday, October 31, 2015

CHHOOTI CHANDANI

Dilwalon ko chhooti chandnii 
Kali raat ke aagosh mein hai
Kho gye hain do log kahin 
Bas Do dil hii ab hosh mein hai

DEEDAR PE DIL


Ankh dekhe dhadkan suruat kare
Har deedar pe dil ki bat kare

Friday, October 30, 2015

Thursday, October 29, 2015

ZINDGI KUCHH TO DILAYEGI


Malum nhi ye sansen hame kahan tak le jayegi
kisi manzil tak, ya kisi mod pe chhor jayegi
fir bhi  ham hamesh ki tarah  khush rahte hain
kyonki sanson sath rhi  to zindgi bhi kuchh  jarur dilayegi
 

Wednesday, October 28, 2015

PATHJHAD KA PATTA


Reshmi Zulphon se khelti ye pagal beparwaah hawa
uspe girta har pathjhad ka patta gehna sa lagta hai

Saturday, October 24, 2015

Shayar sar-e-aam ho gye


kisike chehre se subah ayii,  
kisike zulphon mein hum shaam ho gye,  
Na ashiq huye naa awaraa huye,  
Shayar sar-e-aam ho gye

Mulq Hukmarano se nahi chaltii

Mulq katil hukmarano se nahi chaltii
Mulq raees Khandaano se nahi chaltii
Awam hii sabkuchh hai Yaaron
Mulq bekar ki gumaano se nahi chaliti

TEHWAR


ALFAAZON KI SHAAM


Haule - haule kalam ne liya kagaj pe tera naam
Fir Gora badan banaa kale alfaazon ki ek shaam

MODI QUOTE


PAISA PASS


Thursday, October 22, 2015

Ujagar Karti Ho

Bura haal samne akar karti ho
mere dil ki khyalat ujagar karti ho 

HUM KAR DO

Adab se Paas ao aur fasle kam kar do
Bahon mein akar Main ko hum kar do

NAVAAB - EK TEZ JAVAB

Sar par bharat ka Muhar lekar ek navaab ataa tha
Bade Raftaar ki gendon ka ek Tez javaab ataa tha
wicket keeper ko bahut araam dene ke liye 
Gendwaazon ka banke bad_khwaab ataa tha

URDU WORD MEANING : 
bad khwaab: nightmare

Tuesday, October 20, 2015

Tabssum Ki Mujra


subah-subah dekhi tere labon pe tabssum ki mujra
aisa laga jaise koi teer mujhe romanchit karke gujra 

BEHTAR DUNIYA

har kisiko har kisiki khamii malum hai
log apne pe gaur karte to duniya behtar hotii

Monday, October 19, 2015

KALA ASHIQ

                                                         wo nazuk wo kamsin thi
                                                              chehre makhmal ki 
                                                    ushke lab honthlali se rangin thi
                                  buri nazar se bachane ko kale rang ka kala ashiq unke sath tha
                                   par fir bhi malum nhi kyon wo surma lagane ki sauqin thi 

DELHI MEIN HOLI


Safed Mahtaab

Phoolon ki baat kahti subah 
Safed Mahtaab jhalkatii shab 
Dono ne kai bar puchha hai 
Ek afsana aur ek Tera naam

Sunday, October 18, 2015

Sunsan Honth


apni gulabi honthon ko mat sunsan rakho
aye meri jan wahan par bas muskan rakho 

lab-e-KHandaa.n

tabassum se sazaa hua hamne ek aashiyaa.n dekha hai
meri shokh nazar ne pur lab-e-KHandaa.n dekha hai
mujhse kah rha hai koi esh lamhe ko paas rakh loon
alfaazon ne kagaj pe khubsurat raaz-daa.n dekha hai

URDU WORD MEANING :
lab-e-KHandaa.n = laughing lips
raaz-daa.n = secret-holder

HARDIK PARTHIV


PATE: RESERVATION


Saturday, October 17, 2015

CHASM MUTA'ASSIB

chaand nikle kala falak khushnasib ho jaye
Tujhe dekhkar ye chasm muta'assib ho jaye

URDU WORD MEANING :
muta'assib:superstitious


FRIEND REQUEST


Zamana ab bahut badal gyaa hai
Log ladne ke liye friend request bhejte hain

BIG BILLION DAY


Thursday, October 15, 2015

Sundariyon Ka Huzum

Samne sundariyon ka huzum hai
Par ankhon ko ras aye wo bas ek tum hai
Esiliye to SAN aaj bhi ekdam hai sant
SAN aaj bhi ekdam gum -sum hai

RONA AUR NASIB


Wednesday, October 14, 2015

Sochte Rah Jate Hain


nazaron ke samne se wo ate hain,wo jate hain
dil gunga hai, ham  chup hi rah jate hain
wo har waqt adaon ki  bijali girate hain
aur hum man hi man ahen bhar ke rah jate hain

nazaron ke samne se wo ate hain, wo jate hain
nazaren takrati hain aur dono ankhen bahut kah jate hain
man karta hai unhe aaj rok loon
par dimag etna sochta hai ki bas sochte hi rah jate hain 

PHOOLON KA MAUSAM


Tere Honthon pe phoolon ke mausam
Ankhon ne dikha dil Gulzar ho gya

MUSIC AND LOVE


Tuesday, October 13, 2015

ISHK KI DAGAR

teri khoobsurati se nahayii meri nazar
Dil Ko pakadaa gyii ishk ki Dagar

Monday, October 12, 2015

JAMAAL KA JAAL


lakhon ashiq tere jaal mein fanse hain
tera didaar karnewale tere jamaal mein fanse hain
Aaj bhi soch rahe hain bahut log 
dil ki bat kahen ya na kahen ishi sawaal mein fanse hain

Saturday, October 10, 2015

LAALAA-E-SAHARAA

Kareeb se dekhaa tha kabhi wo laalaa-e-saharaa 
Aaj bhi dil ko tazaa kar jata hai chehra tumhara
Ab to hum bas talashte rahte hain apne alfazon mein
Dhadkan-e-dil ki khoyii huyii anjuman-aaraa

Urdu Word Meaning:
laalaa-e-saharaa=desert flower
anjuman-aaraa=one who adorns a meeting


MERA VATAN

Mere vatan ko gareebii se najaat miltii
Agar netaon ke kaam se unki baat miltii

Urdu Word Meaning :
najaat=freedom

ZooZoo


Friday, October 9, 2015

baab-e-qafas

saba ke sath ka suhana sahar kb ka akar chalaa gyaa
Hum sote rahe dopehar tak shahar mein chhalaa gyaa
baab-e-qafas khola to janaa suraj adha safar kar chuka
Din hai udas sa,ankhon pe kyon kala rang malaa gyaa

URDU WORD MEANING :
baab-e-qafas = door of a cage

Sharab Ka Vikalp


bhale hi wo alp tha
par jaam ka viklp tha
yahin se sharab uthaunga
eske bad mera sanklp tha 

Bachchan


HAM MEIN HAM NAHI

Ye sitam bhi kuchh kam nahi
Tere ham mein jo ek ham nahi