Tuesday, September 29, 2015

Premchari



Hay re hay wo beautiful naari
Jisne hame bna diya premchari
Ab hum kya Karen doston?
Uspe line marne ki hai lachari
Main apne halat ko kya kahoon
Thoda sa ishk ya thodi si bimaari
Jo bhi ho mitron
Uparwale ne fasane ki achhi ki taiyaari

Teri yaad ki Raten


khuli aur band ankhon ko satati hai teri yaad ki raten
Guzarti hai dheere dheere dhadkno se teri bad ki raten
Ek halki halki Khushboo hai lekin nhi hai yahaan koi tuu 
sham ki sukhi phool sii ye mehkti huyi naashaad ki raten 
Palaken se latakne ko hain taiyaar tutte riston ke nisha.N
Ye badi zaliim hai Bahakte chasm ki ask azaad ki raten 
Ehsaas bahar aa rhi hai har guzarte tanha wqat ke sath
Bin Tere hai bilkul hii khali-khali ye kali fasaad ki raten
Kanta sa chubh rha hai Tera Naam labon pe aa aakar
Chalo "SAN" Ghazal mein rakhen panno ke muraad ki raten

KISKA VIKAS

Sabjiyon ke bhav asmaan chhoo rhe hain aur kisan Allah ko pyare ho rhe hain,
Vikas ...  akhir kiski vikas ke ye naare ho rhe hain

Monday, September 28, 2015

MULKBAAZI

Band karo khoon ka khelm ye khilane walon
hame ladakar aapas mein hanth milane walon



Peer-e-Pyaar


jo meri zindgi mein ab tak na aya wo bahaar ho tum
kaise tumhe samjhaun ki mere liye peer-e-pyaar ho tum 

Ghalib - Gulzar

Sher-o-shayari ko aage badhane bar bar ayegaa
Kabhi Ghalib Kabhi Gulzar ayegaa
Khali pade kore panno ko chamkane
kali syahii ki kalam lekar uska yaar ayega




ISRO ki saugat

Safed dhuan chhodta hua 
Sitaron ki bich chillata gya 
aag se nikla ISRO ki saugat 
Falak tak wo gana gata gya

Sunday, September 27, 2015

NOT DILFEK

Chahat ishk ki erada bhi nek hai 
Mat samajh lena SAN dilfek hai 

MURGI MARNEWALE

Gulaam banana fir phoolon ki barish karna
Meri pooja karke mujhe murkh mat banao
Gau Ma Gau Ma kahke apne logon se ladna
murgi marnewale ab aur dhong mat dikhao

Ishtihaaron Ka Shehar

Ankhon ki fasne ke liye dikhabti pyaar hai 
Charo.N taraf rijhane ki liye ishtihaar hai
Galii Kuchon ka darwaja band sa lagta hai 
Rangin Kagajon ke bich ye kaisi maar hai



DIGITAL INDIA


Saturday, September 26, 2015

Ankhon se dila de


Kuchh Nya dekhun main kuchh nya tu dikha de
Ulafat ka Ruhanii maza ab ankhon se dila de 

Kaliyon ka ghoonghat

Aftaab ne bin kahe unse na jane kya bola hai
Kaliyon ne jo abhi-abhi ghoonghat khola hai
sahar ki suhanii sadaa kya kya khabar layi hai
Kyon asmani Farishtay ke ane se sabka dil dola hai


GANDA KAMRA


Friday, September 25, 2015

Noor Pe Gurur

Shayaron ne ushki tarif mein etna likha ki wo maheene mein 15 din naqaab mein ati hai
Ya fir chand ko bhi apni noor pe gurur ho gya hai jo bas shab-e-mahtaab mein ati hai 

MUJH JAISE


Sharafat


Sharafat to hamne bhi sikha tha
Jab tak unka husn na dikha tha

Thursday, September 24, 2015

MECCA MEIN MAUT


DIL PE HATH GYII


Na mere dil se wo bat gyii
Na unke dil se wo bat gyii
pta chala kya lekar wo sath gyii
Jb apne hii dil pe hath gyii

labon se labz


Badal gya tujhse andaz-e-alfaaz hamaraa
Ankhon ne jb tumhare labon se labz utaraa

Wednesday, September 23, 2015

Subah Shaam ki Surat


Na aftaab ka koi matlab Na Mahtaab ki koi jarurat
Shahar mein log nhi dekhte subah-o-shaam ki surat

Tuesday, September 22, 2015

DJ BAJEGA


NAMKIN CHANDNI


Kyon aaj ayii hai Ankhon ki moti Ulfat ki bisaat pe
kyon roya hai asmaan apne mehboob ki kisi bat pe 
Udaas aur bojhil hai ye dilchasp suhana waqt bhii
Kis mahtaab ne dale.N hain namkin chandni raat pe

Monday, September 21, 2015

Sunday, September 20, 2015

shab - ba - KHair

Raat ayii hai dheere-dheere nile falak pe parda kalaa lagayegi,
shab - ba - KHair doston ab ankhon pe palaken talaa lagayegi

JEET KI NISHANI


Saturday, September 19, 2015

aavaaz-e-paa


pajeb-e-aavaaz-e-paa
Dheere-Deere paas aa
khuu-e-milan rangin kar
ae chaand chandni dikha

Rulakar le jaunga


Rulakar le jaunga hasakar rakhunga
Ishk ka mizaza ishk se chakhunga

Friday, September 18, 2015

Muskaan Ke Liye Rab Ban Gye Ho


mere khushiyon ka sabab ban gye ho
meri muskaan ke liye  rab ban gye ho
mujhe zindgi kuchh saal pehle mili
par meri jaan tum ab ban gye ho 

POLITICAL BHAI


Thursday, September 17, 2015

NAZAR KI NAZAR

Apne Nazar ka Ek kissa teri Nazar karte hain
Kagaj ke gore badan pe kala sahar karte hain
Keyboard ki har chaal pe Teri tasweer hoti hai
Mere Sher Jb Ghazal ki taraf safar karte hain
Wo dilkash chehre bahut kuchh likhaa jata hai
Tere husn ke jalwe shayari pe asar karte hain
pur chasm dekha hai unko maine aaj 
Ao kore panno ko labzon ki chaadar karte hain
Ankhon ki pasand dil ke shikanje ke paas hai
Chalo "SAN" ab hum khudko khabar karte hain

WHERE IS VIKAS


Wednesday, September 16, 2015

Muft Ki Saraab



ghane badalon ka bharm paida karti hai
teri lambi reshmi bal,jo kamar tak ati hai,
chand sharm se asmaan mein chhup jati hai,
jb tu  mast mathe par bindiya lagati hai,
mere dhadkano ki raftaar tej ho jati hai,
haule - haule se jb tu muskati hai,
man khushi mein khil uthata hai,
jb tu apne honthon pe khila phul dikhati ho
tera mera kya rista hai,jo kuchh paise bhi nhi leti 
aur nayano se muft mein mahangi sarab pilati ho 

BIHAR ELECTION


Tuesday, September 15, 2015

ZINDGI

zindgi bahut bhala bura kahti hai
zindgi hamesha adhura kahti hai

Monday, September 14, 2015

Sar-e-aam Samne


Sar-e-aam samne kya khoob ayaa hai
Jhuki nazaron se mehboob ayaa hai

Sunday, September 13, 2015

AUR BATAO

Zindgi ki kuchh bat zindgi ka kuchh daur batao
Rajneta Rajniti nahi mere dost kuchh aur batao

Saturday, September 12, 2015

DAR MERA


Thoda yakiin Thoda dar mera
Tuu zindgi hum_safar mera

Friday, September 11, 2015

kaar-e-muhaal

Har bar kaar-e-muhaal karte hain
Wo jo bin fikr-e-ma.aal karte hain

Urdu Word Meaning:
fikr-e-ma.aal = thoughts about the result
kaar-e-muhaal = Difficult work

Wednesday, September 9, 2015

KAMAAL DHEERE - DHEERE


Ankhon ne dekha hai 
Hote kamaal dheere-dheere
Uske badan pe aya ahista-ahista
Solahwaan saal dheere-dheere

Sajid Khan Joker


Lakeer Peshaanii Pe

ek lakeer tere peshaanii ki, ek jhalak tere preshanii ki
ab deedar na kara dost ankhon mein anshu ke pani ki 

Tuesday, September 8, 2015

Labz jaie zulf


Har  tehreen teri yaad dilaye
Labz alfaaz jaise zulf lehraye

Monday, September 7, 2015

Labzon Ko Saaz De Do

en labzon ko ek achchha saaz de do
apne labon pe rakh ke  awaaz de do 

Saturday, September 5, 2015

Labzon Ka Kanwal


ye kavita ye poetry ye Gazal aapka
Ishk ashiqi khawabon ka mahal aapka
aapke mukhde ke didaar ki ye deri
dekho labzon ka bana ye kanwal aapka
aap ab tak nhi aye mere jivan  mein
par ye man,ye ruh,ye hridysthal aapka
aapke man mein bhi mere liye ishk jage
wo ishkyana irada ho safal aapka
SAN taiyaar hai gulam banane ke khatir
lekin prem ka pehla pahal ho aapka 

Friday, September 4, 2015

Labon Se Labon Ki Malish


Labon se labon ki malish kar do
bahut hi gande ho gye hai ye
enki lipstic lge honthon se polish kar do

Labon se labon ki malish kar do
ek do kissam kiss se man nhi bharta
enke per day ka quota chalish kar do 

main-e-tah-nashii.n

main-e-tah-nashii.n

aariz-e-namakiin
Ankhone ne aaj samjhaya 
Hasiin ka matlab Hasiin

Thursday, September 3, 2015

LABON KA PAIGAAM


labon ka paigaam labon ko do
labon ka jaam labon ko do
sharafat ne pyar ki gadi rok di hai
ab labon ka kaam labon ko do 

BHAIYON BEHANO


Wednesday, September 2, 2015

CHAAND KA DAAG


Chandnii Raton ne Tujhe kya daag diya hai
Tere badan pe husn-o-nuur ka aag diya hai

MUHABBAT KA MADIINA

Mohabbat ke ush madine tak baat Pahunchana 
Ankhon ka kaam hai sine tak baat pahunchana