Monday, August 31, 2015
Sunday, August 30, 2015
Kitne Sachche
bhagwan ne puchha dhara pe kitne sachche hain
dharti ne kaha ish ginati mein bas bachche hain
dharti ne kaha ish ginati mein bas bachche hain
Aarakshan
Doston Habibon Yaron ki ginti bahut kam hoti
agar yahan bhi jati naam se aaraksan lagu hota
agar yahan bhi jati naam se aaraksan lagu hota
Saturday, August 29, 2015
Friday, August 28, 2015
GHAZAL MEIN MEHAKTE HUYE
Labz Harf aur alfaaz dekho kala sayaah bahakte huye
Teri kahani ka panna meri ghazal mein mehakte huye
Khayalon ki kasti hasiin tehreer ka saaya banta hua
Dekho Tasvuur ka alam jazbat ka Shola dahakte huye
fikr farmaanaa ki tajgi yaad ke lakeeron ki fankaari
Dekho har ek Sher tere gul_naam pe chahakte huye
Teri shokh ankhon ke kajal ka wo gadha kala rang
Katra katra meri sayahi se dam-ba-dam Chhalakte huye
Teri kahani ka panna meri ghazal mein mehakte huye
Khayalon ki kasti hasiin tehreer ka saaya banta hua
Dekho Tasvuur ka alam jazbat ka Shola dahakte huye
fikr farmaanaa ki tajgi yaad ke lakeeron ki fankaari
Dekho har ek Sher tere gul_naam pe chahakte huye
Teri shokh ankhon ke kajal ka wo gadha kala rang
Katra katra meri sayahi se dam-ba-dam Chhalakte huye
"SAN" ki ulfat-e-deriina ki surat ne mehsoos kiya hai
khushboo gul badan se dheere-dheere mehakte huye
Thursday, August 27, 2015
Wednesday, August 26, 2015
ASHIQ YA ATANKWADI
Aksar suna hai duniya ko aag lga dunga,duniya ko tere aage jhuka dungaa
Hame kabhi ye samajh nahi ataa ki ye ashiq hain ya atankwadi
Gandhi ke Ghar pe
Fir se chadh ayaa hai koi sar pe kisne lagayii aag Gandhi ke ghar pe
Gandhi Ke Ghar
Gandhi ke ghar babaal ho gya
Vote ke liye Neta dalaal ho gya
Tuesday, August 25, 2015
Monday, August 24, 2015
tera makeup bigad jaunga
Dil se utra to kajal wahaa le jaunga
Gale lagayaa to honthlaali saf kar jaunga
Ashiq hoon ashiq hii rahne de
Pagalpan tak laya to tera makeup bigad jaunga
Gale lagayaa to honthlaali saf kar jaunga
Ashiq hoon ashiq hii rahne de
Pagalpan tak laya to tera makeup bigad jaunga
Sunday, August 23, 2015
Jale Lge Hain
dhadkane azaad, dilon pe tale lge hain
Jaldi ao nahi to kahogi yahan to jaale lage hain
Saturday, August 22, 2015
Friday, August 21, 2015
Nazm-e-Gulzar
Roz-e-abr fizaa surat-e-yaar sii ho gyii
rah_numaa_ii hawaon ki bahaar sii ho gyii
Qudrat ka karishmaii fan ahista-ahista faila
Ye Raja Ravi Varma ki naqsh-e-diivaar sii ho gyii
Kamar matkate sare darkhat sar hilate badal
Charon taraf Ka chehra ek dilkash nar sii ho gyii
Monsooni barish ki paazeb haule-haule bajji
More ke sath moranii gane ko taiyaar ho gyii
Ankhon ke samne hii bane ye sare tasweer
"SAN" Ye aaj ki din to Nazm-e-Gulzar sii ho gyii
Thursday, August 20, 2015
safed kameezon wale
ye safed kamizon wale log bade hoshiyaar hain,
kisi aur ke daman ka daag dikha khudko begunah savit kar dete hain
Wednesday, August 19, 2015
gadaa_ii mat kar
Kosis kar baKht_aazamaa_ii mat kar
Hanth jod bhagwaan se gadaa_ii mat kar
Hanth jod bhagwaan se gadaa_ii mat kar
Tuesday, August 18, 2015
Ilu Ilu Ki Garjan
chehre pe chandni
zulphon mein raat
tu husn ki mallika
tumame kuchh alag hi bat hai
do pyari pyari ankhen
ye dilkash muskaan
shahar mein ashiq bahut hain
rahna sambhal ke meri jaan
ye nazuk sa badan
kale badal si baal
bahar kam niklna
warna ham ho jayenge kangaal
ye makhmali bahen
ye surahi si gardan
akar ekbar SAN se mil
sunayi dega ashiq DIL se
ILU ILU KI GARJAN
bindi se sajja mukhda
mehndi lagi ye hatheli
jab ana mere ghar to
bna lana sari ko apni saheli
ye mithi - mithi boli
ye sundar sawbhaw
kahin intjar mein band na ho jaye
dhadkano ka ye utar chadhaaw
AUR BATAO
Bat Bat mein log puchhte hain "AUR BATAO"
Jab unke pas bat karne ko kuchh nahi hota hai
HUMSATH
tere yadon ko bewajah hi humsath kar liya
jab bhi khud ko akela paya unse bat kar liya
jab bhi khud ko akela paya unse bat kar liya
Monday, August 17, 2015
Sunday, August 16, 2015
ankhon mein bahar samaa gyaa
pur diid ka asar hua ankhon mein bahar samaa gyaa
Labz panno pe daude harf mein tarah-daar samaa gya
Kalam ne raah lii apne behad aziz shayari-o-shukhan ki
Meri khoobsurat Ghazal mein aks-e-yaar samaa gya
Ankhon ne jaise jaise bayaan kiya hum likhte chale gye
Shayari mein aaj ek gauhar-e-shaahvaar samaa gya
Teri adaon ki adakari shariir ka har zara-zara padha
Fankari mein Tere badan ka purbahaar samaa gya
Ek Ajib sa dard ho rha hai Ghazal khatm karte huye
"SAN"fikr-o-fan mein Hasiin nok-e-Khaar samaa gya
URDU WORD MEANING :
nok-e-Khaar=tip of the thorn
purbahaar=in full bloom
gauhar-e-shaahvaar=a fine royal pearl
aks-e-yaar = reflection of beloved
tarah-daar = beautiful
SCHOOL SATH JATE DEKHA HAI
tifl-e-maktabon ko gale lagate dekha hai
dharm ki deewar ko haskar girate dekha hai
Kitni taraqii kar lii hai chhote bachchon ne
falsafa kahne walon ko jagate dekha hai
Jalte dahar mein gulshan khilate dekha hai
irfan ki taqat ka sabko ehsaas karane wale
tifl-e-maktabon ko gale lagate dekha hai
Ek Hindu aur Ek Muslmaan ko sath jate dekha hai
URDU WORD MEANING :
irfan = knowledge
dahar = world
falsafa = philosophy
Saturday, August 15, 2015
Friday, August 14, 2015
Thursday, August 13, 2015
engineering ki anjaam
Thake huye logon ke liye fir se shaam ayii hai
Ek hum hai ki mere liye rat ko kaam ayii hai
Ungliyon ko Computer ki aor dekh kar chala rhe
Software engineer ke liye engineering ki anjaam ayii hai
Ek hum hai ki mere liye rat ko kaam ayii hai
Ungliyon ko Computer ki aor dekh kar chala rhe
Software engineer ke liye engineering ki anjaam ayii hai
Shurkh Sari
Ankhon se nuur ka ham_raaz dekha hai
Shurkh Sari pehne husn-e-raaz dekha hai
Ahista-Ahista utar rhii hai shayari mein
Hayaa ke sath unka andaaz dekha hai
Chahat-e-chasm rahat-e-shukhan
Apne berang asharon ko saaz dekha hai
Shurkh Sari pehne husn-e-raaz dekha hai
Ahista-Ahista utar rhii hai shayari mein
Hayaa ke sath unka andaaz dekha hai
Chahat-e-chasm rahat-e-shukhan
Apne berang asharon ko saaz dekha hai
subah ka khoobsurat chehra sham ka badan
umiid se bahut badhkar kuchh aaz dekha
Labzon alfaazon aur harfon ne dua utha lii
Sher-o-shayari ne apna sartaaz dekha hai
Nigah-e-shukhanvar ne Ham-nasiin banaya
Bematlab ki Nazm-o-ghazal ka ilaaz dekha
umiid se bahut badhkar kuchh aaz dekha
Labzon alfaazon aur harfon ne dua utha lii
Sher-o-shayari ne apna sartaaz dekha hai
Nigah-e-shukhanvar ne Ham-nasiin banaya
Bematlab ki Nazm-o-ghazal ka ilaaz dekha
Wednesday, August 12, 2015
Tabassum ka Tukda
Possida Nazara Nazar ki khuu ho gyii
Shaheb-e-shiriin hasiin tuu ho gyii
Kuchh waqt ka Tabassum ka Tukda
Purkash dekhe binaa kyon chhuu ho gyii
Lutf uthaya muft ke nazarane ka
Shukriya khubsoorti ko aina dikhane
Pal bhar ka wo Tabassum ka Tukda
Fir se ek bar aur kosis karlo lane ka
Sajji - sanwarii subah jaise aftaab se ayii hai
Pari-e-nigaah khawaab se ayii hai
Tabassum ke Tukda se jagmagati lab
Kis shayari ke kis baab se ayii hai
Urdu Word Meaning :
Kuu = Path
possida = hidden
Tuesday, August 11, 2015
Aii nadi tu ab aab lekar aa
Aii nadi tu ab aab lekar aa
Tez Dhara ki naab lekar aa
Kisan ke fasal sukh rhe hain
Upaj ke khawaab lekar aa
Aii nadi tu ab aab lekar aa
Dhahre huye hain hal
Udas hain sare gawn wale
Aii nadi nya baab lekar aa
Aii nadi tu ab aab lekar aa
Nithle baithe hain intzaar mein
Khet bahut pyasii sii hai
Tu Dhan ropai ki Nisaab lekar aa
Aii nadi tu ab aab lekar aa
Urdu Word Meaning
AAB = Water
Nisaab = curriculum
Monday, August 10, 2015
Sunday, August 9, 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)