ulfat - e - agaaz sabhi nau-gulon ne sringaar kiya hoga
labon ko lipstick se tej kar ankhiyon se bar kiya hoga
Mausam -e -maah hawaon mein bahti ye ashiqi aur ishk
dil ki huyi hogi len den Gulabon se vyapaar kiya hoga
wo sab raah-e-ishk ,husn-e-hayaa ko khojne nikle honge
jinhe rog-e-muhabbat,zabt-e-shauq ne bimaar kiya hoga
tahaziib-e-navii.n bahut se chiZenn badal gyi.N hain
yaaron aaj to,kisi ne ikraar kisi ne inkaar kiya hoga
sab ki apni apni pasand , sab ki apni apni kismat hai
yaaron kya kahen,kisi ne dosti kisi ne pyaar kiya hoga
sukun-e-suKhan le rhe hain maah-e-muhabbat mein hayat se
mere yaaron,kya kisi ne "SAN" ka bhi intzaar kiya hoga